kozmic rant

Tuesday, August 09, 2005

ghazal - zindagi

I have always been fascinated by ghazals. Particularly the ones by ghalib and zauq and faakir. And my fascination compelled me to try my hand at writing ghazals. One of the few ghazals written by me is presented here -

zindagi kuchh bhi nahin, ek ehsaan toh hai,
noor-e-aaftaab na sahi, lau-e-shamshaan toh hai.

dhoondhti rehti hai apna hi anjaam bhale,
lekin jeene ke liye khud bhi pareshaan toh hai.

meri kuchh fikr nahin, iska gila kyunkar ho
tassalli itni hai ki khud ki nigehbaan toh hai.

khaak se ubhari hai, khaak mein mil jaana hai
yeh jaante huye bhi isme abhi jaan toh hai

ek veerane ko hi maksad bana liya isne
'kaafir' bebaak nahin thoda hairaan toh hai.

1 Comments:

Post a Comment

<< Home