kozmic rant

Tuesday, September 13, 2005

ghazal - mohabbat

jab bhi milti thi rooh-e-sukoon, betaab kar jaati thi,
zindagi ki haqeeqat mahez ek khwaab kar jaati thi.

gar chhupaa bhi loon apni hasrat hazaar pardon mein,
deke ek deedaar sar-e-baazaar, benaqaab kar jaati thi.

marg ko mere dawa deti thi magar kuchh aisi 'kaafir',
raftaar-e-dhadkan-e-dil aur kharaab kar jaati thi.

1 Comments:

  • where are more ? Looking forward to reading them and non-shaayri stuff from you.
    regards

    By Blogger Gitanjali, at 3:40 PM  

Post a Comment

<< Home