kozmic rant

Thursday, August 17, 2006

ghazal

ilzaam bahut huye zaalim, ab hamein sazaa bhi de
zindagi ke lutf diye, kabhi maut ka mazaa bhi de

auj pe taanga der bahut, chhodne ki zahmat toh kar
aag mein jhonkne ko hamein apni kabhi razaa bhi de

yeh dastur-e-ulfat kaisa, ki gham se mulaqaat nahin
sahraaon mein bhatakne ki, humko bad-dua bhi de

kais ko pathhar mile, farhaad ko hua sahra naseeb,
'kaafir' ko sadmon mein ulajhne ki iltaja hi de

1 Comments:

Post a Comment

<< Home